Motivational Poetry

Selected Urdu Motivational Poetry Collection

Allama Iqbal 's Poetry

Best Selected Poetry of Allama Iqbal

Two Lines Poetry

Sad And Romantic Two Lines Poetry in Urdu

Romantic Poetry Collection

Worlds Best Selected Romantics Urdu Lines

Ahmed Faraz Urdu Poetry

Best Collection of Ahmed Faraz 's Urde Poetry

Tumhari Salgirah Ke Din - Urdu Happy BirthDay Sms

happy-Birthday-Urdu-SMS

Tumhari Salgirah Ke Din Ye Dua Hai Hamare
Jitne Hain Chand Tare, Utni Ho Umar Tumhari




Related Search:-

  • Urdu Happy Birthday Sms
  • Urdu Happy Birthday Shairy
  • Urdu Happy Birthday Lines
  • Birth Day Wishes Poetry
  • Salgirah Poetry
  • Salgirah Shairy 

Pehle Kabhi Nahi Thi

Urdu-Birthday-Poetry

Pehle Kabhi Nahi Thi Asaan ye Zindagi
Asaa Bana Diya Teray Sath Ne is Ko...

Ugta hua Suraj dua de aapko,


Ugta hua Suraj dua de aapko,

Khilta hua phool khushbu de aapko,


hum to kuch dene ke kabil nahi hai,


dene wala hazaar khushiyan de aapko!

Birthday Shayari (Janamdin Shayari)



Phool khilte rahein zindgi ki raah mein,

Hassi chamakti rahe aapki nigaah mein,

Kadam kadam par mile khushi ki bahar aapko,
Dil deta hai yehi dua baar-baar aapko.

Sad Happy BirthDay Wishes (Urdu Birthday Poetry,Salgirah poetry,Salgirah Shayari,Birthday Shayari, Birthday Shayari)

Urdu Birthday Poetry


Aaj mera janam din tha,

Main intizar karta raha,
Din se raat ho gayi,
Aur main chalta raha,
Barish mere badan ko bhigoti rahi,
Aur tann andar hi andar jalta raha,
Magar mein chalta raha,
Intizar karta raha,
Ke shayed…
Kahin se koi jaani pehchani si awaz,
Mujhe pyar se bulaa kar kahe,
Janam din mubarak ho…

Magar aaj to har taraf balaa ka sanaata hai,

Puri basti ne mere janam ke saug mein,
Apne apne gharon mein chiragha’n nahin kiya,
Har taraf holnaak andhera tha,
Is andhere mein,
Barish ka shor,
Pato’n ki khar’kharahat,
Hawaa ki siskiyaan,
Aur bijli ki chamak ne,
Mahol ajeeb daraawna sa bana diya tha,
Mera dil ghabraa gaya,
Subah ka bhoola tha is liye,
Shaam ko ghar aagaya,

Kya dekhta hoon ke ghar ki dehleez par hamesha ki tarah,

Woh chiraag liye meri muntzir thi,
Us ne aa kar mujhe sahara diya,
Phir apne naazuk bazu’on mein samait kar,
Mujhe mere bistar tak le gayi,
Mera sar apni gaud mein rakh kar,
Mere baalon mein ungliyan pher kar mujhe sulaney lagi,
Phir dheere dheere mere kaan mein gunguney lagi,

Janam din mubarak ho,

Janam din mubarak ho,
Dunya walon se kitni achi thi,
Meri tanhai,
Meri udaasi,
Meri veerani,
Meri mehbooba…