Posts

Showing posts with the label Amjad Islam Amjad

Mere char su jo khila raha

Image
Mere char su jo khila raha 'wo jamal to koi aur tha !' mere khawab jis mein ulajh geye wo khyaal to koi aur tha ! yahan kis hisaab ko joRte mere subho sham bikher geye jo azal ki subho kiya gaya wo sawal to koi aur tha ! jise tera jan k rakh liya wo malal to koi aur tha "Amjad islam amjad" amjad islam amjad

Tere dhiyan ki tez hawa

Image
Pat jhaR ki dehleez pe bikhre BE-Chehra   paTon  ki   Surat Hum ko  saath liye phirti hai Tere  Dhiyaan  ki  tez  hawa ! "Amjad islam amjad" Amjad islam amjad

Meri sochain badalti ja rahi hain

Image
amjad islam amjad poetry Meri sochain badalti ja rahi hain, K ye cheezain badalti ja rahi hain, Tamasha ek hai roz-e-azal se, Faqat aankhain badalti ja rahi hain, Badalte manzron ke aayine mein, Teri yadain badalti ja rahi hain, Dilon se jorrTi thi jo dilon ko, Wo sab rasmain badalti ja rahi hain, Adhoori na’mukamal khawhishain kyon, Nayi shaklain badati ja rahi hain, Agar manzil wohi hai rahiyon ki, To kyon rahain badati ja rahi hain, Na janey kyon mujhe lagta hai Amjad, Ke woh nazrain badalti ja rahi hain "Amjad islam amjad poetry"

Darya mein qatre ki soorat

Image
Amjad islam amjad shayari Darya mein qatre ki soorat ' Gum ho jaun Apne Aap se bahir niklun Tum ho jaun_ _ _ ! "Amjad islam amjad"

Do bhed bhari aankhen

Image
Ik khwab ki chilman se har raat mujhe dekhain 'Do bhed bhari aankhen' har subah ko chiryon ki chehkar mein dhal jayen Phoolon ki quba pehnain Shabnam mein badal jayen har shaam hawaon se ahwaal mera poochain Do bhed bhari aankhen Karti hain ajjab baaten kajal ki zubaan se ye Dil leti Chali jayen andaz-e-bayyan se ye Do bhed bhari aankhen Ik khwab ki chilman se har raat mujhe dekhain "Amjad islam amjad shayari" amjad islam amjad poetry in urdu

khushboo ki poshaak pehen kar

Image
Amjad islam amjad urdu poem khushboo ki poshaak pehen kar' kon gali mein aaya hai kaisa yeh pegham rasa hai kya kya khabren laya hai khirki khol ke bahar dekho mosam mere dil ki baaten tumse kehne aaya hai... "Amjad islam amjad poetry"

Guzar Gaya Jo Zamana Usay Bhula Hi Do

Image
Guzar gaya jo zamana usay bhula hi do' jo naqsh ban nahi sakta usay mita hi do khule ga terk-e-taalluq ke baad baab-e-fana yeh ek aakhri parda bhi ab utha hi do ruki ruki si hawa hai thaka thaka hai chand wafa ke dusht main hairan khare hain raahi do guzar raha hai jo lamha usay ammar kar len main apne khoon se likhta hoon tum gawahi do kisi tarah se taghafful ka baab-e-shaq to khule nahi main piyar ke qabil to kuch saza hi do mein kaeynaat ko tum se nijaat de du'n ga meri giraft mein ik din agar tabahi do "Amjad islam amjad poetry" amjad islam amjad shayari

Dil Ke Kehne Pe Jab Larey Tum Thay

Image
Dil ke kehne pe jab larey tum thay' phir zamane se kyun darray tum thay naqsh thay haath ki lakeero'n mein dastaras se magar parey tum thay hum ne jab raah ka inthakhab kya uske har mor par kharay tum thay kya tha jis mein ulajh gaya tha mein jane kis baat par array tum thay ek hi lamhae khamoshi mein had-e- awaz se parey tum thay "Amjad islam amjad poetry" amjad islam amjad poetry

Chehre Pe Mere Zulf Ko Phelao Kisi Din

Image
Chehre pe mere zulff ko phelao' kisi din kia roz garajte ho, baras jao kisi din raazon ki Tarah utro mere dil mein kisi shab dastak pe mere haath ki khul jao kisi din pero'n ki tarah husan ki barish mein naha lu'n badal ki tarah jhoom ke ghir aao kisi din khushboo ki tarah guzro mere dil ki galli se phoolo'n ki tarah mujh pe bikhar jao kisi din phir haath ko kherat mile bad quba ki phir lutf-e-shab-e-wasal ko duhrao kisi din guzre jo mere ghar se to ruk jayen sitare is tarah meri raat ko chamkao kisi din "Amjad islam amjad shayari" amjad islam amjad shayri

Labon pe phool khilte hain

Image
Labon pe phool khilte hain kisi ke naam se pehle dilon ke deep jalte hain charagh-e-shaam se pehle kabhi manzar badalne par bhi qissa chal nahi pata kahani khatam hoti hai kabhi anjaam se pehle yahi taare tumhari aankh ki chilman mein rehte hain yahi sooraj nikalta hai tumhare baam se pehle dilon ki jagmagati bastyan taraaj karte hain yahi jo log lagte hain nehayat aam se pehle hui hai shaam jangal mein parinde lot'te honge ab unko kis tarah roken nawahe daam se pehle ye saare rang murda thay tumhari shakal banne tak ye saare harf mehmal thay tumhare naam se pehle hua hai wo agar munsif to "amjad" ehtiyatan hum saza tasleem karte hain kisi ilzaam se pehle "Amjad islam amjad urdu poetry" urdu poetry amjad islam amjad

Jo Aansoo dil main girte hain

Image
Jo aansoo dil mein girte hain wo aankhon mein nahi rehte bohat se harf hain aese jo lafzon mein nahi rehte kitaabon mein likhe jate hain dunya bhar ke afsane magar jin mein haqeeqat ho kitaabon mein nahi rehte bahaar aaye to har ik phool par ik saath aati hai hawa jin ka muqadar ho wo shaakhon mein nahi rehte liye phirte hain kuch ahbaab aese muztarib sajde jahaan darbar mil jaye jabeenon mein nahi rehte mehek aur titlion ka naam bhanwre se juda kyon hai ke ye bhi to khizaan aane pe phooln mein nahi rehte "Amjad islam amjad poetry in urdu" Urdu Poetry amjad islam amjad

Un Jheel Si Gehri Aankhon Mein

Image
Un jheel si gehri aankhon mein ik shaam kahin aabaad to ho ik khwab ka neela phool khile wo phool bahaden lehron mein ik roz kabhi hum shaam dhalle us phool ke behte rangon mein jis waqt larazta chand chale ! us waqt kahin un aankhon mein is bisre pal ki yaad to ho ! Un jheel si gehri aankhon mein ik shaam kahin aabaad to ho ! phir chaahe umar samandar ki har moj pareshan ho jaye phir chahe aankh dareeche se har khwab gurezaan ho jaye phir chahe phool ke chehre ka har dard numayaan ho jaye ! is jheel kinare pal do pal wo roop nagar aejaad to ho din raat ke is aaieenay se wo aks kabhi azaad to ho Un jheel si gehri aankhon mein ik shaam kahin aabaad to ho ..!! "Amjad islam amjad urdu poem" amjad islam amjad shayari

Kahan Aake Rukne Thay Rastay

Image
Kahan Aake Rukne Thay Rastay "Amjad Islam Amjad Urdu Poetry" best of amjad islam amjad

Agar Kabhi Meri Yaad Aaye

Image
Agar Kabhi Meri Yaad Aaye to chand raton ki nurm dilgeer roshni mein kisi sitare ko dekh lena.... "Amjad Islam Amjad" urdu poem by amjad islam amjad

Dairon Main Chaltay Hain

Image
Dairon main chaltay hain' dairon mein chalne se dairey to baRhte hain fasley nahi ghaTtey Aarzoo'en chalti hain! jis taraf ko jate hain manzilen tamana ki saath saath chalti hain, gard uRhti rehti hai dard baRhta rehta hai raastey nahi ghaT'tey "Amjad Islam Amjad Poetry" Urdu PoetryBy Amjad islam amjad

Mohabbat Aesa Darya Hai

Image
Mohabbat aesa darya hai' ke barish rooTh bhi jaye to pani kam nahi hota...! 'Amjad Islam Amjad Poetry' Amjad islam amjad Urdu Poem

Zindagi ke melay main

Image
Zindagi ke melay main' khwahishon k relay mein. tum se kya kahen jana... "Amjad Islam Amjad Poetry" Amjad islam amjad urdu poem